TABLEEG MUSTAHAB HAI YA FARZ
⭕AAJ KA SAWAL NO.2695⭕
Ek sahab tableegi jamat me jane ko farze ain farmate hain aur hazrat thanvi rahmatullahi alayhi mandoob (mustahab) farmate hain.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Asal yeh hai ke deen sikhna farz e ain hai uski ek surat madaaris me padhna hai aur ek surat tableeg me jana hai aur bhi suraten hain (kisi Allahwale se bay'at mureed hona) mewat ke logon ko bataya gaya tha ke deen sikhna farz hai.
Isliye ya madaris qaim karo ya dusri suraten ikhtiyar karo agar tum koi dusri surat ikhtiyar na kar sako to mutayyan taur par tableeg hi me niklo isliye wahaan log yahi keh kar nikalte hain ke deen sikhne ke liye chalo itni baat me kisi ko ikhtilaf nahi.
Hazrat thanvi rahmatullah alayhi jis cheez ko mustahab farmaya hai us tableeg ke yeh ma'ane nahi balke wahaan tableeg se muraad dusron ko deen sikhane ke liye nikalna hai,
Zahir hai ke kaam awam ka nahi hai balke khawas ahle ilm ka kaam hai fir us ko farze ain kaise kahaa ja sakta hai! lihaza dono ka mahmal (matlab, muraad) alag alag hai aur dono sahih hai.
📘HAQEEQATE TABLEEG SAFA 46
✒IFADAAT HAZRAT DAYEE E KABEER FAQEEHUL UMMAT MUFTI MAHMOOD HASAN GANGOHI RAHMATULLAH ALAYHI
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
Rozana masail hasil karne
https://chat.whatsapp.com/FhzSKjXhvzgIPPAVnFwJdl
http://www.aajkasawalgujarati.page.tl
http://www.aajkasawalhindi.page.tl
🖥 Urdu, Hindi, Gujarati me islahi Aur masail ke parche padhne Aur download karne ke liye Aur share karne ke liye zarur