hello dosto aaj hum bat krne ja rhe hai Bitcoin ke bare me Bitcoin kya hota hai, Bitcoin kaise kam karta hai, aur hume ishe india me kaise kharid sakte hai.
Bicion diniya ki sabse pahli decentrlised cryptocurrency hai yani ki digital sampatti jo ki ek digital form me aapke wallet me store hota hai.
bicoin ka len den peer to peer system based hota hai matlab paisa ka len den bina kishi third party ke agar hum iski history ke bare me bat kre to iska invention 9 january 2009 ko santoshi nakamoto name ke programmer ne kiya tha jiska pahenchan abhi bhi ek rahasya hai.
unka Bitcoin awishkar karne ka ek hi maksad tha, wo dikhana chate the bina kishi third party ke bhi digitaly len den sambhaw hai.
Agar hum bitcion rate ke bare me bat kre to bitcion aaj 12 lakh ke apporh me lekin jab ishe lanch kiya gya tha to ye mahaj kuch hi rupayo ka tha.
Bitcoin kha se aata hai ?
dosto agar hum Bitcion ki limits ke bare me bat kre to mai aap ko bta dena chata hu ki yah pahle se decide hai Bitcion kewal 21millin hi banege uske bad Bicion banana band ho jayega aab tak 16millin + Bitcion ban chuke hai.
Dosto Bitcoin banane ke liye hume mining karna parta hai. Mining ek process hai jiski madad se hum ek bitcoin ko dusre bitcoin wallet me transfer karte hai aur transfer krne wale ko kuch mathematical problem solve krna hota hai. aur jo miner ush problem ko solve karta hai to ushe kuch Bitcoin reward me milta hai uski ko Bitcoin mining kahte hai.
dosto mai aapko bta du ki yah currency pure duniya me prachlit hai isse aap kai jagho par payment bhi kar sakte hai for ex Microsoft bitcion se payment leta aur bhut sari jani mani compay bhi bitcion se payment leti hai.aapko yah bhi bta du ki puri duniya 80+ ATM hai jha se app bitcoin ke badle me apne local currency le sakte hai.
Bitcion kaise kharid sakte hai
dosto india me bitcion bhut hi triko se kahrida ja sakta ai lekin kuch sahi hai kuch galat mai apko sahi trika batane ja rha hu
india me aap Zebpay aur Unocoin ke madad se Bitcion inr se kharid sakte hai.
bitcion kharidne ke liye sabse pahle aaap zeb pay ya unocion pe register kar le uske bad aap ko KYC verify karan hota hai jisme lagbhag 1 hata se lekar ek mahina tak lag jata hai uske bad aap bari hai assanise bitcoin buy kar sakte hai.