budhawar vrat katha---[wednesday fast story]

in budhawar •  6 years ago 

puja vidhi -- sukha ki eksha rakhne walo ko budhawar ka vrat karna chahiye, din me ak war bhojn karna chahiye,
0a1504074947583.jpg
katha --- ak vayakti apni pathi ko vida karane sasura gaya tha, vaha kuch din rahne ke bad saas sasur se vida karne ke liye kaha . kintu sabne kaha aaj budhawar hai aaj ke din gaman nahi karte hai vaha kisi prakar nahi mana our apni patni ko vida kara apne ghar ki or chal pada ,raste me uski patni ko pyas lagi usne apne pati se kaha mujhe bahut jor se pyas lagi hai , vaha rath se utarkar lota leker jal lene chla gaya. jab vaha jal lekr loota to dekha ki uski hi jesa vayakti rath me uski patni ke paas betha hai. usne krodha me kaha ki tu kon hai jo meri patni ke samip betha hai. dusra vayakti bola ki yaha meri patni hai me abhi abhi susral se vida kara kar laya hu. ve dono aaps me jhagadne lage tabhi rajya ke sipahi aakr lote wale vayakti ko pakdne lage our stree se pucha ki tumhara asli pati kon sa hai ? patni shant rahi kyo ki dono ak jese hi the ve kise apna pati kahe. ve vayakti ishwer se prarthna karta hua bola he ishawer ye kya lila hai saccha jhuta ban raha hai tabhi aakashvani hui ke a murakha aaj budhawar hai tumhe aaj ke din gaman nahi karna chahiye tha tumne kisi ki baat nahi maani ye sab budhadev bhagwan [ishwer] ki lila hai, us vayakti ne bhudhadev bhagwan se prarthna ki our apni galti ke liye kshama maagi tab budhdev ji antrdhyan ho gaye v apni patni ko lekar ghar aaya our budhwar ka vrat ve dono pati patni niyam purvak rahne lage jo vayakti es katha ko kahta hai our sunta hai usko budhawar ko yatra karne ka koi dosh nahi lagta hai usko sabhi prakar sukho ki prapti hoti hai. katha samapat!!

images (8).jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

Hai, hallo @shashiprabha! Artikel bagus dan sudah kami upvote ya.. (Sedikit kontribusi kami sebagai witness untuk komunitas Steemit berbahasa Indonesia.)

thank's sir for up vote.