Hello Dosto, Aaj ka article bahut hi khaas hai aap ko achhe se pura padhna chahye. Dosto gaay sabd jab sunte hai to dudh ki yaad aati hai. Gaay ka dudh sabhi hi peete hai maine bhi peeta hoon aap bhi peete honge. Gaay ko isliye mata bhi kaha jaata hai. Log cow ko gau mata bolte hai, Inko maata ka darja diya jaata hai. Aam tor par gaay ke gobar se hum ghin karte hai.
Image Source nelive.in
Lekin gaay ka gobar khaad me istemaal kiya jaata hai lekin kya aap ko pata hai ab gaay ke gobar ka istemaal paper banane me bhi kiya jaayega. Haan dosto sahi suna aap ne, gaay ke gobar se paper banane ka paryog ho chuka hai aur ye kaam shuru bhi ho chuka hai. Ab aap paper banane ki unit bhi laga sakte hai. Gaay ke gobar se agar aap bhi business karna chahte hai to ye business shuru kar sakte hai. Sarkar ne iss par project report bhi taiyaar ki hai.
vegetable dye banane ke liye bhi istemaal kiya jaayega.
Dosto jaisa ki maine iss ke baare me news me suna hai, Gaay ke gobar me kewal 7% paper baani waali material nikalti hai aur jo bachta hai uska istemaal vegetable dye banane me kiya jaayega. Ye vegetable dye kya hoti hai iss ke baare me news waalo ne vistaar se nahi bataya isliye iss ke baare me mujhe bhi pura pata nahi hai.
Kisaano ko hoga faayda.
Kisano ko isliye faayda hoga kyo ki unke pass gaay to hoti hi hai aur wo gobar to degi hi. Ab gobar ka jab aisa istemaal hone lagega to fir kisaan gobar free me to denge hi nahi. Abhi bhi kisaan gobar bechte hai khaad ke liye lekin abhi iss ka utna jyada rate nahi milta hai lekin ab iss ka bhi achha rate milega kyo ki ab gobar se paper banenge aur vegetable dye bhi banaya jaayega.
Dosto iss ke baare me aur bhi jankaari main ap ko apni agli post par dunga. Abhi ke liye itna hi, aap chahe to iss ke baare me aur achhe se net me search kar sakte hai. Ye chij maine aaj hi news me dekhi hai to mujhe laga sab ke saath share karna sahi rahega. Ab main baaki ki details apni agli post par dunga.
You got a 3.69% upvote from @booster courtesy of @mahtabansari370!
NEW FEATURE:
You can earn a passive income from our service by delegating your stake in SteemPower to @booster. We'll be sharing 100% Liquid tokens automatically between all our delegators every time a wallet has accumulated 1K STEEM or SBD.
Quick Delegation: 1000| 2500 | 5000 | 10000 | 20000 | 50000
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit
is manav samaj me gaay ke shareer se nikli har cheez bikau hai. jitna daam jyaada milega, utna hi adhik uska shoshan hoga, yeh baat sabko pata hai.
meri mata bikau nahi hai.
kya aapki mata bazar me bikti hai?
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit