Dosti, dosti duniya ka sabse behatrin Rishta hai jo khoon ka na hokar viswas ka hota hai.
Dosti ko ham 'Mitrata' ke naam se bhi jante hai.
Sachi mitrata taumar rahta hai.
Dosti ek anmol rishta hai jiske jaisa koi rishta nahi hota hai.
Manav apne jeevan me kai rishte nibhata hai.
Ek putra ya putri, ek baap, ek maa, ek pati ya patni, etc kai rishte manav apne pure jeevan me nibhata hai.
Dosti ka rishta na janam se hota hai na vivah ke baad hota hai. Yah rishta atoot viswas aur prem ka hota hai.
#Mitrata_ka_mahatav:
Ek sacha dost apki har sambhav har tarah se madad karta hai.
Sachi mitrata me ek dusre k prati samman ki bhawna hoti hai.
Ek dost ko dusre dost ke prati nihswarth ki bhawna rakhna chahiye.
Jisme kisi ka koi swarth chhupa nhi hota hai.
Dosti na jati dekhta hai na hai hi dharma dekhta hai wo kewal wishwas aur prem ki bhookhi hoti hai.
Atah yah bandhan prem viswas aur jimedari ka hota hai.
Dosti ek anmol dhan k bhati hai jo samay aane pe apki madad karta hai.
Dosti par kai filmy geet banaye ja chuje hai jisme 'Shole' movie ka ek geet "ye dostidosti, ham nhi todenge" Jo bahut mashoor hai.
Aise hi film 'Dosti' ka ek geet "ye dosti tere dam se hai"
Manav sabhyata ke itihas me dosti ki kai misaale di jati hai.
Krishna aur Sudama ki mitrata ko kaun nhi janta hai.
Ek taraf dwarika raja to dusre taraf bhichha mang k gujara karne wale Sudama ki kahani har bache ko pata hai.
Sri Krishan ne bachpan ke mitra Sudama se dosti ko hamesa nibhaya hai.
Jab bhi ap kisi k dost bane to nibhaye jarur.
Ek sacha dost apka subhchitak hota hai jo hamesa apki bhalai ki kamna karta hai.
Woww
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit