Hello Dosto, Main aap ko online course ke baare me bata raha tha. Iss par maine 2 article bhi likhe hai agar aap ne wo nahi padha hai to fir aap pahla wala ( Ye course kare faayde me rahenge ) yaha click kar padh sakte hai aur dusra wala ( Koi bhi kar sakta hai iss course ko ) yaha click kar padh sakte hai. Dosto iss article ko padhne se pahle aap ye dono article jiss ka link maine diya hai iss ko jarur padhna tab hi aap ko meri ye article samajh me aayegi.
Image Source India.com
Pichle 2 article me maine aap ko bahut kuch bataya hai ab iss article me batane jaa raha hoon. to dosto chaliye shuru karte hai.
Hoga iss me online test.
Dosto NSE ek course chala rahi hai jiss me trading ke baare me sikhaya jayega. Jiss ko aap online hi sikh sakte hai aur iss me aap ka test bhi liya jaayega. Ye test online hi hoga saath hi agar aap center me jaake test dena chahte hai to fir iss ke center me bhi jaa ke aap test de sakte hai. Iss test ko pass karne ke baad aap certificate leke trading ke liye license le sakte hai.
Test dene ke turant baad hi aap ko certificate mil jaata hai isliye iss me tension waali baat nahi hai. Agar aap bhi ye course karna chahte hai to NSE ke website me signup kar sakte hai aap ko saari details waha par mil jaayegi. Course ki fees jaisa ki maine aap ko bataya kewal 2000 hi course ki fees hai.