Sab se pahle aap sabhi ko happy teacher day mere bhaaiyo. Aaj teacher day hai aur graduation to meri complete ho gayi hai. Isliye main to kahi na jaa raha hoon aaj. Lekin aap sab jo abhi bhi student hai wo sab mil kar achhe se celebrate karna. Iss teacher day ko Hrithik Roshan ki agli film ka poster release ho gaya hai.
Image From Hrithik Roshan Twitter Page
Aap ko bata de ki iss film me Hrithik Roshan ne teacher ka role kiya hai isliye iss film ka poster aaj release kiya gaya hai. Hrithik Roshan apne students ke saath najar aa rahe hai iss poster me. Ye film agle saal 26 September ko release hogi. Aap ko bata de ki ye film ek real life par adharit hai. Bihar ke rahne waale Ananad Kumar jiss par ye film bani hai.
Wo ek teacher hai aur har saal 30 students ko padhaati hai jiss me se adhiktar student pass kar jaate hai. Wo kya padhaate hai ye main bhul gaya yaar.
Ye film ka dusra poster dekhiye mast laga ye wala poster. Poster me bahut kuch likha bhi hai aap to dekh hi rahe ho. Ab bhai log raja ka beta hi raja nahi banega har koi ab raja ban sakta hai jo bhi iss ke haqdaar hoga.
Image From Hrithik Roshan Twitter Page
Hrithik Roshan iss film me ek teacher ka role karne waale hai ab dekhte hai ye film kaisi hoti hai mujhe to bahut yakeen hai iss film par. Agar ye film teacher day ke din hi release hoti matlab ke aaj ke hi din to bahut maja aata yaar aur har koi dekhne jaata khair koi baat nahi.
inspired by a true story...esi movie ka itejar he ....
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit