- Mera pasandeeda phole Gulab (Red Rose)
Insan apni muhabbat ka izhar humeesha phole day kar krta hay ya sadioun say rasam chali arahi hay aur gift main phole hi dyia jata hay wo hay surakh gulab , gulab aak phole hay jasay insan apni khoushi aur gum dono mawaqon main istamal krta araha hay gulab ka poda central asia aur europ aur astriala main pyia jata hay ,gulab ka poda as ki kalam say ugta hay ya geron main lawan ki kyiaron main bhi ugta hay mugar sub say pehlay asay gamlay main ak ki kalam legatay hain aur jab ya aak do maha main poda ban jata hay to asay gamlay say nekal kay kyiari main lega datay hain jaha per ya kuch arsay main as per choti si kompal nikal aati hay jo bad main gulab ki phole ki sorat ikhtyiar kar lati hay ,gulab ka poda zida tar musam bahar main ugta hay aur parwrish pata hay , Gulab ki kahi aqsam aur colors main pyia jata hay join main sorakh gulab red rose , gulabi pink rose aur peela gulab yellow rose sarefaratst hain wasay kuch elaqon main kala gulab bhi pyia jata hay
source link : https://pixabay.com/en/rose-pink-pink-rose-rose-bloom-2892821/
sub say zida istamal honay wala gulab pink aur red rose hain jo kay her taqereeb main istamal hota hay , Gulab ka phole shadi aur gami dono main istmal hota hay shadi main dohlay ki gari say lay kar dolan ki sheej tak dono main lazmai istamal hota hay aur shadi main dolhay ki bahnon aur dolan ki behnion dono ka hath main har zaror hotay hain jo ka khoushi ka baish bantay hain .
source link: https://pixabay.com/en/rose-orange-blossom-bloom-flower-1503881/
source link: https://pixabay.com/en/flowers-rose-plants-petal-nature-3370165/
soure link : https://pixabay.com/en/whitish-rose-flower-plant-petals-3360236/
source link : https://pixabay.com/en/flower-rose-love-petal-affection-3359609/
dohlay ki gari kisajawat main to lazmi red gulab ka istamal hota hay as kay alwa agar koi bara leader galti say election jeet jata hay to us kay jialay aus per gulab ki pitian nechawar krtay hiain khoushi kay toor per ya kahi kisi cheez ka iftata hoara hota hay to wahan bhi gulab ki patian nechawar kartay hain , Gulab ko khoushi ka alwa gami main bhi astamal kyia jata hay agar kahin fotgi hojay to whan per bhi gulan ki patian istamal ki jati hain aur gulab kay pholon ki chadar bhi dargah per chway jati hay .
source link : https://pixabay.com/en/roses-pink-yellow-blossom-bloom-2947934/
gulb ka phole ko kisi ko gifit kay sorat main danay say muhabbat barti hay aur agay wala khoushi mehsos krta hay aur agar asay surakha gulab ki jaga per peela gulab day dyia jaye to agay wala naraz hojata hay kun ka peela gulab nafarat ki neshani hay to as lyia jab bhi aap kisi ko muhabbat ka izhar karnay kay lyia surakh gulab hi dayi krhain as say khoushi aur muhbbat barti hay
source link : https://pixabay.com/en/heart-key-rose-herzchen-love-1809653/
Aaj kal nojowan larkay aur larkian aak dosray ko keemti say keemti gifts danay ka sath sath gulab ka phole zaro datay hain kun ka ya muhabbat ki neshani hay aur as hi say muhabbat agay barti hay , Gulab ka puckay khoushi aur gum dono mauian istamal hota hay kisi mareez ko hospital main agar dekhanay jatay hain to gulab kay phool zaroro lay kar jatay hain as say mareez ka dil khoush hojata hay aur kahin koushi ka mokay main bhi apnon ka pasa janay kay layia aak gift zaror lay kar jatay hain taka as ki muhabbat aur khoushi hasail hoajay .
source link : https://pixabay.com/en/valentine-s-day-rose-love-heart-3086285/
wasy to gulab ka phool bay baha fowaid kay klyia istamal hota hay as kay pamni ka bohot say istamal hain as ka araq ko arqe gulab bhi kahtay haib jo kay mukhtalif bemarioun main istamal hota hay jasay ka eraq e guab ko agar aap apnai akhaoun main dalain dailay to as say akhain saf hojati hain as ko surmay kay sath bhi istamal kyia jata hay aur as lka alwa erqe gulan kay istamal say aap kay cheray ki rangat nikhri nikhri hojay ghi agatr aap asay dailay kisi bhi creem main dal kay istamal karian aur istamal kraiin aap khoud dakahin ghay aap ki ragat saf hojay ghy , gulab kay erq ko pat kay hazmay kay kyia bhi bohot mubeed hay khas toor per chotay buchay ko istamal say in ka hazma durust rehata hay aur gulan ki patioun say gulkand bahi banayia jata hay jaisay log shok say khatya hayn khash tor per pan main asay astamal kartay hain buchay asay shook say khatay hain aur ya hazmay kay lyia bohot mubfeed hay
source link: https://urbanplatter.in/product/urban-platter-natural-himalayan-gulkand-rose-petal-jam-250g/
Ghulab ka sub say mashor product wo hay etrea gulab jis ki khoubon sub ko bhati hay aur numazi asay shook say legatya hain aur nazar e bad kay lyia bhi mufeed hay gulab ka itar aak achi khousbon hay log asay tohfay main bhi aak dosray ko day tay ghain her jumay kay din asay lega kay numaz kay lyai jatay hain .
source link : https://www.indiamart.com/proddetail/gulab-attar-perfume-10-ml-8268828155.html