Read my story ( savior- the rakshak ) introduction

in hindistory •  6 years ago 

Ye kahani ek aise grah ki hai jo dharti se kahi dur ek dusre galaxy me basa hai … us galaxy ka naam sresta hai .. Aur grah ka naam sworda hai …

Sworda sresta galaxy me basa bahut hi adhunik aur taqatwar grah hai .. Jisme basne wale dharti ke insano jaise hi hai lekin silver rang ke hote hai .. Unki ankhe nili hoti hai .. Wo behad shanti prasand log hote hai ..
Lekin bigyan me unka mukabla koi nahi kar sakta tha unke galaxy me aur sayad dusre galaxy me .. Unko guardian of the galaxy bhi kaha jata tha kiu ke unke adhunik bigyan aur uski samajh ke karan unki najar galaxy se dur dur dusre galaxy tak thi ..

Sworda me base sabse bade lab me ek khas project pe kaam kiya ja raha tha .. Is project ko banane ka karan tha .. Sworda grah se hi kuch dur ek aur grah tha lohan grah ..

Lohan grah yodhao ka grah ya yu kahe krud dimag wale waisio ka grah .. Jo taqat ke bhukhe the yudh karna grah tabah karna unke liye mamuli baat thi lekin sworda grah ke karan unme lagam lagi hui thi .. Lekin kabtak..

Sworda grah ke khufia dal ne aane wale sankat ka purbanuman laga liya tha ek bhayankar yudh ki aandhi aane wali thi ..

Sworda ke lab me ek khas prayog ho raha tha sword of distraction … ek khas dhatu se bana sword jisme grah tak ko tabah karne tak ki taqat thi .. Filve element stone ke sath silvar rang ka ek bahut hi taqatwar sword ko banaya ja raha tha lekin abhi usme ek muskil thi ..

Grah .. Sworda .. Sresta galaxy
King .. Gara sworda.. Queen .. Rubi sworda
New born prince .. Karma sworda.

Grah .. Lohan

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

@pintustrange1, I gave you an upvote on your first post! Please give me a follow and I will give you a follow in return!

Please also take a moment to read this post regarding bad behavior on Steemit.

Thank you followed

Hai @pintustrange1.. Selamat bergabung di Steemit! Senang anda join di sini.. diupvote.. (Sebagian kontribusi kami sebagai witness pada komunitas Steemit bahasa Indonesia.)

Thank you followed