Aaj ke daur me "khush ekhlaqi"

in hive-120412 •  4 years ago 

5f99e1b9d881a619ebddba0e477cdcc2.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Aaj ke daur me "khush ekhlaqi"

Aaj kal hr cheez ke mayene badal gye he, hr cheez ka mafhum ulat gya, Hazrat maulana Qari Mohammad Tayyab sahab R.A farmaya krte the ki:
Pehle zamane ke muqable me ab is daur me hr cheez ulti hogyi, yha tk ki pehle chiragh tale andhera hota tha, or ab balb ke upr andhera hota he.

Phir farmate ki aaj kal hr cheez ki qadre badal gyi hr cheez ka mafhum ulat gya, yha tk ikhlaq ka mafhum bhi badal gya.

Aaj sirf chand zahiri harkat ka nam ikhlaq he.

Jese kisi se muskura kr mil liye, or mualqat ke waqt rasmi alfaaz zabaan se ada kr diye.

Jese ye keh diya ki " aap se mil kr badi khushi huyi" ya "aap se mil kr bada achha maloom hua" waghera.

Ab zabaan se to ye alfaaz ada kr rhe he, lekin dil ke andar adawat or hasad ki aag sulag rhi he.

Bs aaj usi ka nam khush ikhlaqi he.

Or aaj ba qayeda fan bn gya he, ki dusron ke sath kis tarah pesh aaya jaye, taki dusre log hamare garweeda ho jaye.

Or ba qayeda is pr kitabe likhi ja rhi he, ki dusro ko garweeda bnane ke liye or dusro ko mutaasir krne ke liye kya tareeqe ikhteyar kiye jaye?

Lehaza sara zor is pr sarf ho rha he ki dusra garweeda ho jaye dusra hm se mutaasir ho jaye or hm ko achha smjhne lge.

Aaj isi ka nam ikhlaq rkha jata he.

Behar haal ! us ka ikhkaq is ikhlaq se koi talluq nhi, jis ka zikr Huzur Aqdas S.A.W farma rhe he.

Ye ikhlaq nhi, balki riya kari or dikhawa he or ye numayish he, or ye dusre logo ko apna garweeda bnane or apne gird ikhatta krne ka bahana he.

Allah taala hme riya kari or dikhawa se bchaye, or hmare nabi .s.a.w ne jo ikhlaq hme sikhaya he vese hi ikhlaq wala bnaye.

Aameen.

Shukriya..

696e7926086a81a30a55bdca508b35a4.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!