Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Hazrat Rabiya Basriya R.A
Hazrat Rabiya bint Ismail ye ek tang hal ghrane me Basra me paida huyi.
Apni behno me chauthi hone ke wajh se unka nam Rabiya rkha gya.
Unke bade hote hote unke waledain inteqal kr gye.
Shahr Basra me usi zmane me qahat pra or behne juda hogyi.
Rabiya ko ek zalim ne pakr kr zbrdsti apni khadima bna liya, or chnd dirham ke bdle unko bech diya.
Kharidar ghr le gya or ap se sakht mehnat ke kam lene lga.
Ek din raste me ja rhi thi ki achank ek gher mehram samne aagya.
Rabiya ghbra gyi or ghbrahat me ek trf bhag gyi.
Rasta me giri, aapka hath tut gya, apne apna mu khak pr rkha or kaha.
Ae Allah! me ghreeb, yateem, qaidi, or hath tuti huyi bandi hu, lekin mujhe in bato ka ghm nhi, haan teri raza (khushnudi) ki talib hu, mujh pr fazal or aagah kr ki tu mujh se razi he ya nhi?
Apne ghaibi awaz suni ki tu ghm mt kha ki kl qayamat ke din tera vo rutba hoga ki mukrrab farishte tujh pr fakhr krenge.
Rabiya mutmain apne malik ke ghr laut gyi, unka din roze ki halt me or malik ki khidmt me guzrta or rat qyam nmaz me.
Ek rat malik ko koi awaz sunayi di, malik ne Rabiya ko awaz di, lekin Rabiya kahi or mashgul thi.
Vo kmre se nikla, Rabiya ke kmre ki trf chla.
Dekha ki drwaza andr se bnd he, or Rabiya kisi se hm klam he.
Tajssus ke teht usne apni aankh drwaze ki jhuri se lga di, dekha ki Rabiya sajde me giri keh rhi he.
Ilahi! tu janta he mere dil ki aarzoo tere farman ke hukm ko manna he, meri aankho ki roshni teri bargah me hazir he.
Agr me mukhtar hoti to hr dm teri ibadat me lgi rehti lekin tu ne mujhe apni makhluq ka mateht kya he.
Isi wajh se teri khidmat me aane me der ho jati hu.
Malik ne dekha ki pura kmra buka noor bna hua he, or ek qindeel noor begair kisi dor or zanjeer ke hawa me latka hua he.
Malik ne ye kaifiyt dekhi to Rabiya ke mkam welayt ka use andaza hua.
Subah hote hi usne Rabiya ko azad kya or drkhwast ki, ki agr ap yha rhengi to hm sb apki khidmt krenge, or agr apko ye manzur nhi to ap mukhtar he.
Rabiya ijazat lekr bahr aayi or mitti ki ek jhupri ko ibadt khana bna kr Allah ki ibadt me mashgul hogyi.
Shukriya..
وعليكم السلام
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit