Allama Iqbal R.A , ek Mashoor Shayar

in hive-120412 •  4 years ago 

image.png

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Allama Iqbal ki zindagi ka mukhtasr sa qissa.

Aap ne Allama Iqbal ka nam suna hoga, jo mashhoor shayir he.

Allama Iqbal ek ameer ghrane se talluq rkhte the.

Unho ne arabic, farsi, angrezi, or urdu ki aala taaleem hasil ki thi.

Unho ne doctor ki digree bhi ki, or bahut kamyabi payi .

Sarkar angrez se is qabiliyat se sir ka khitab bhi hasil kiya, aap ko duniya sir muhmmad Iqbal ke nam se pukara krti thi.

Kisi bade raees ne ek martba apne muqddame me Iqbal ko wakeel kya, or apke thehrne ke liye bahut hi aram o arayish ka intezam kya.

Unko ek bada bangla dya, jis me pura saman sja hua tha, musehri (bed) pr nrm gadde takye lge huye the.

Rat me jis wqt iqbad apne gadde dar musehri pr aram krne ke liye lete to apko khyal aaya ki me ese nrm bistr pr aram kr rha hu.

Or mere Nabi S.A.W jin pr meri jaan hazar bar qurban ho, vo khurdri chatayi pr aram farmaya krte the.

Ye khyal aate hi aap ki aankh se aansu nikl aaye.

Aap forn uth kr kareeb ke gusul khane me jakr kursi pr ja bethe, or bahut der tk rote rhe.

Fir apna bistr khola, or mamooli si charpayi pr bistr bichha kr so gye.

Allama Iqbal ne ye smjh liya tha ki, hm apne nabi ki trh, hm jin ki ummat me he,
hme seedhi sadi zindagi bsr krne chahiye.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!