Bidat ka Bayan

in hive-120412 •  4 years ago 

e488ef6a3804b2746abc8a1aac562bcb.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Bidat ke byan.

Kufr or shirk ke bad bidat bada gunah he.

Bidat un cheezon ko kehte he jin ki asl shariyat se sabit na ho, iska matlab ye he ki Quran majid or hadees shareef me uska sabut na mile or Rasoolallah S.A.W or sahaba kram or tabe tabiyeen ke zmane me uska wajud na ho, or use deen ka kam smjh kiya or chora jaye.

Bidat bahut buri cheez he, Hazrat Mohammad S.A.W ne bidat ko mrdud farmaya he or jo shakhs bidat nikale usko deen ka dhane wala btaya he.

Or farmaya he ki hr bidat gumrahi he or hr gumrahi dozakh me le jane wali he.

Logo ne hzaro bidat nikali huyi he, kuch ye he!
Pukhta qabre bnana, qabro pr gumbad bnana, dhoom dham se urs krna, qbro pr chirag jalana, qbro pr chadre or gilaf dalna, mayyat ke mkan pr khane ke liye jma hona, shadi me sehra bandhna, or hr jayez ya mustahb kam me esi sharte apni trf se lgana jin ka shariyat se sabut na ho, ye sb bidat he.

Allah taala hme bidat jese gunaho se bchaye.

Aameen.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!