Dikhawe ki nekiya.
Hazrat Abu Huraira R.A farmate he ki me ne Rasool Allah S.A.W ko ye kehte huye suna :
Qyamat ke din sb se pehle jin ke khilaf faisla kya jayega, un me ek vo shakhs bhi hoga jo shaheed kya gya hoga.
Ye shakhs Allah taala ke samne laya jayega, Allah taala apni is nemat ka izhar farmayenge jo is pr ki gyi thi, vo uska iqrar krega.
Fir Allah taala farmayenge: tu ne is nemat se kya kam liya?
Vo arz krega: mene ap ki rza ke liye jng ki yha tk ki shaheed kr diya gya.
Allah taala farmayenge: jhut bolta he, tu ne jihad is liye kya tha ki log bahadur kahe or kaha ja chuka he.
Fir usko hukm suna diya jayega or use muh ke bl ghaseet kr jahnnam me fek diya jayega.
Dusra vo shakhs hoga jis ne ilm deen seekha or dusro ko sikhaya or quran sharif prha.
Usko Allah taala ke samne laya jayega, Allah taala us pr apni di huyi nemato ke bare me swal krenge, or vo un ka iqrar krega.
Fir Allah taala farmayenge: tu ne un nemato se kya kam liya?
Vo arz krega: me ne teri rza ke liye ilm deen seekha or dusro ko sikhaya or teri hi rza k liye quran sharif prha.
Allah taala farmayene jhut bolta he, tu ne ilm deen is liye sikha ki log aalim kahe or quran is liye prha tha ki log Qari kahe, or kaha ja chuka.
Fir usko hukm suna diya jayega or use muh ke bl ghaseet kr jahannam me fek diya jayega.
Teesra shakhs vo maldar hoga jis ko Allah taala ne duniya me bhr pur dolat di hogi or hr qism ka maal ata farmaya hoga.
Usko bhi usi tareeqe Allah taala ke samne laya jayega, usse bhi pehle walo ke jese swal kya jayega.
Vo shakhs kahege jin rasto me kharch krna tujhe psnd he mene tera diya hua maal un sb hi me teri rza ke liye kharch kya tha.
Allah taala farmayenge : jhut bolta he, tu ne maal is liye kharch kya tha ki log sakhi kahe or log keh bhi diya.
Usko muh ke bl ghaseet kr jahannam me laya jayega.
Shukriya..