Ek buzurg ki preshani.

in hive-120412 •  4 years ago 

057757ee97066c0993117414827732dc.jpg

Source

Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

Ek buzurg ki preshani.

Ek buzurg bade preshan rehte the ki me apni taraf se aamal to kr rha hu mgr pta nhi ki mera khatma kesa hoga.

Ek raat nind aayi khawab me Nabi akram S.A.W ki zayart naseeb huyi.

Aap ne farmaya ki kyu itna preshan hote ho?

Arz kya, ae Allah ke Nabi S.A.W mujhe kya pta ki mera iman mere pas mehfuz rehga ya nhi rhega.

Nabi akram S.A.W ne farmaya, sun le ki Allah taala kareem he or kareem se ye baeed he ki vo koi nemat ata krne ke bad waps le.

Jb Allah taala ne iman or aamal ki nemat ata krdi he to ye daleel he ki Allah taala maut tk tere iman ki hifazat farmayenge.

Is se sabit hua ki agr insan shariyat o sunnat pr istqamat se zindagi guzar rha ho to ghabrane ki koi zarurat nhi he, kyuki Allah taala bahut bada mehrban he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!