Ek kisan ko nasihana jwab

in hive-120412 •  4 years ago 

4fd64f20481c7ecb76f3311a81f30de3.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Ek kisan ko nasihana jwab.

Hazrat Qutub Uddin jhang sadr ke ek buzrg guzre he.

Vo apne ilaqe me bahut mashhoor the, unke nam ki ek masjid bhi bani huyi he.

Ek martba kisi gaon me ja rhe the, ek jagh se guzrte huye unhone dekha ki ek aadmi hl chala rha tha.

Us ne achank apne ek bail ko marna shuru kr diya.

Panjabi zuban me 2 bail jo hal ke liye kam kr rhe hote he.

Un me andr wale ko aandri or bahr wale ko bahri kehte he.

Un me se andr wala bail jb shrart krta he, to vo zameen ka ek tukra chor aage nikl jate he.

Usko panjabi me para marna kehte he, andr wale bail ki shrart ki wajh se jb bailo ne para mara to us harkat pr us kisan ne bail ko marna shuru kr diya.

Unho ne dur se puchha, bhai tu ye kya kr rha he?

Us ne aage se jwab me kaha, us ne zameen ka ek tukra chor diya he, is liye me usko mar rha hu.

Hazrat ne farmaya, ae bhai agr ye para mar gya he to tu use yu nqd saza de rha he, or jo pare to marta phirta he, agr tujhe rab ne puchh liya to tera kya bnega?

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!