Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Esa shakhs khane ki tareef nhi krega.
Vo shakhs ye kaam hargiz nhi kr skta jis ke dil me ye ehsaas ho ki ye biwi khane pakane ki jo khidmat anjam de rhi he, ye us ka husn e suluk or husn mamlahe, jo mere sath kr rhi he.
Lekin jo shakhs apni biwi ko nokar or khadim smjhta ho ki ye meri khadima he, us ko to ye kam zarur anjam dena he.
Khana pakana us ka farz he, agr khana achha paka rhi he to us pr us ki tareef krne ki kya zarurat he?
Esa shakhs kbhi apni biwi ki tareef nhi krega.
Ek masla ye paida hota he ki maa baap zaeef he, ya bimar he.
Or un ko khidmat ki zarurt he, ghar me sirf beta or bahu he, ab kya kiya jaye?
Is surat me bhi sharyi masla ye he ki bahu ke zimme wajib nhi ki vo shohr ke maa baap ki khidmat kre.
Haan us ki khush naseebi or saadat mandi he, or ajr o sawab ka mojib he, agr khidmat kregi, to Insha Allah bada sawab milega.
Lekin bete ko ye smjhna chahiye ki ye kaam mera he.
Mujhe chahiye ki apne maa baap ki khidmat kru, ab chahe vo khidmat khud kre, ya koi nokar or khadima rkhe.
Lekin agr biwi kr rhi he to ye us ka husn e suluk or ehsaan smjhna chahiye.
Shukriya..