Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Farishte.
Allah taala ki paida ki huyi cheezo me kuch to vo he jo hme dikhayi deti he.
Jesa ki aasman, zameen, chand, suraj, insan, janwr wagerah ko hm dekhte rehte he, lekin bahut si esi cheeze bhi he, jinhe hm log nhi dekh dekh skte.
Hawa chlti he, grmi lgti he, mu se awaz niklti he, jada aata he.
Maut ke wqt bdn se jaan niklti he, mgr un me se koi bhi cheez hm dekh nhi skte, esi cheezo ko an dekhi makhluq kehte he.
Jis trh insan Allah taala ke bnde he, yu hi frishte or jinnat bhi Allah taala ke bnde he.
Lekin ye log hwa ki trh am dekhi makhluq he, frishto ko Allah taala ne noor se paida kya he, vo na mrd hote he na aurat.
Unko khane peene ki zrurt nhi, isiliye un ko bhuk pyas nhi lgti.
Un ko ikhteyar diya he ki vo jb chahe insan ya haiwan ya kisi dusri cheez ki shakl bn jaye.
Vo Allah taala ke bahut hi nek bnde he, Allah taala ne unko jis kam pr lga diya he, usi ko hmesha krte rehte he, khuda ke hukm ke khilaf vo koi kam nhi krte.
Zameen-o-aasman me be shumar farishte he, jin me char sb se mashhoor bade he, in charo ke nam ye he.
Hazrat Jibraeel A.S, Hazrat Mikaeel A.S, Hazrat Izraeel A.S, Hazrat Israfeel A.S.
Khuda ne jin kamo pr mukrr kiya he unhi me lge rehte he.
Shukriya..