Happy Mother's Day

in hive-120412 •  3 years ago 

54aa7d49a86aa9ebee210c34697c3a61.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Maa ke bare me chand alfaaz.

Maa kehte hi use he jis me hamdrdi, khair khwahi, nasihat, bardasht or mohabbat kut kut kr bhri huyi ho.

Agr koi puchhe ki duniya me aurato ke liye sb se mushkil kam kon sa he?

To is ka jawab ye hoga ki maa banna is liye mushkil he ki maa banna or sahi trh bacho ki tarbiyat ye dimag nichorne ka kam he, khoon ke ghont pee kr rukhi sukhi kha kr bacho ke samne muskurate huye mamta ka izhar krna prta he.

Vo maa bahut hi km qismat he jis ko bache ki wajh se koi thodi si bhi takleef pesh aajaye to bache ko dantna, ya kosna shuru krde.

Maa kbhi be hosla nhi hoti, maa km nigah nhi hoti, maa kbhi talib jah nhi hoti, maa zindagi ka hr lamha pul sirat pr se guzr kr basar krna hota he.

Jo maa bn gyi us ko to hr bache se pyar ho jata he, vo kisi bache ko rota nhi dekh skti, kisi bache ke rone ki awaz sunte hi us ki mohabbat o shafqat ka fawara phut jata he, us ko seene lgati he, dua deti he.

Maa apne andr baap se kayi guna zada dilsozi drd mndi, or khair khwahi ke jazbat rkhti he, or talakh kalami or sakht byani se koson dur rehti he.

Maa apni manzil kahkashan se ho kr nhi kanto or patthro se guzr kr hasil krti he.

Allah taala hm sb ke maa baap ki umr me izafa kre, or hme unki na farmani se bachaye, Aameen.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!