Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Hazrat Mohammad S.A.W ke mutaliq ye aqide rkhne chahiye.
Ap Khuda taala ke bnde or ek insan or khuda ke Rasool the.
Khuda taala ke bad aap tmam makhluq se afzal he.
Aap gunaho se masum he, aap pr khuda taala ne Quran majid nazil farmaya.
Aap ko shab e meraj me khuda taala ne aasmano pr bulaya or jannat or dozkh wgera ki ser krayi.
Aap ne khuda taala ke hukm se bahut mojze dikhaye.
Aap khuda taala ki bahut zada ibadt or bndgi krte the.
Aap ke ikhlaq or aadat nihayt aala drje ke the, aap ko khuda taala ne bahut si guzishta or aayenda bato ka ilm ata farmaya tha, jin ki aap ne apni ummat ko khabar krdi.
Aap ko khuda taala ne tmam mkhluq se zada ilm ata farmaya tha lekin aalim ul ghaib nhi the, kyuki aalim ul ghaib hona sirf khuda taala ki shan or usi ki khas sift he.
Aap insano or jinnat sb ke liye Rasool he, aap qayamt ke din khuda taala ki ijazat se gunahgaro ki shifaat krenge, or khuda taala aap ki sifarish qubool farmayenge.
Aap ne jin bato ka hukm kya he, un pr aml krna or jin se mna kya he, un se baz rehna, or jin waqiyat ki khabar di he, unko usi trh manna or yaqeen krna ummat pr zruri he.
Aap ke sath mohabbat rkhna or aap ki taazeem krna hr ummati ke zimme lazim he.
Shukriya..