Ilm seekhne ke fayede

in hive-120412 •  4 years ago 

25df03a356fbdf280b6ecfeddf1f51aa.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Likhna prhna.

Likhna prhna nihayat mufeed hunr he.

Is hunr se aadmi ko badi quwat hasil ho jati he, bahut si zruri bate he jin ko insan yad nhi rkh skta.

Yad ke nuksan ka ilaj isi hunr se ho skta he, jo log us hunr ko achhi trh kam me late he, un ke tmam kam bahut khubi or asani se anjam pate he.

Jo aadmi likhna prhna jante he vo apni aamd o kharch ka, len den ka, tijart ka hisab kitab likh lete he.

Kbhi bhi bhul chuk se kbhi bad dyanti se aaps me jhgra fsad ho jata he, is fsad ko mitane je waste iqrar nama, qabuliyt, benama , wasiyat nama likha jata he.

Saltnat ka kam bhi isi hunr se ronak pata he, sza, qanun, intezam ke qayede, haq haquq, mukadmo ke faisle likhe jate he, gaon, gaon ka dastur, khet ka pada war wagerah sb sarkari daftaro me tehreer hota he.

Is hunr ke janne wale dur bethe aaps me bat kr skte he, prwana, arzi, khat, bhej kr apna apna khyal ek dusre pr zahir kr dete he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!