Importance of Education in Life

in hive-120412 •  4 years ago 

9e923ed44a618a7c2a9649640e3ecb3b.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Ilm ki qadar.

Khalifa Harun Rasheed khandan Abbasi ke mashoor khalifa guzre he

Unke do bete the, ek ka nam Mamoon, or dusre ka nam Ameen tha.

Khalifa ko maloom tha ki Madina me masjid nabwi ke madrse Hazrat imam Malik sadr mudrris he, jo ilm me is zmane ke sbse bade aalimo se brh kr he.

Jb khalifa hajj ke bad madina aaye to madrse me bhi gye.

Or imam Malik se kaha ki me chahta hu ki shehzado ko apke hwale krdu, taki apke ilm se unko bhi fayeda hasil krne ka muaka mile.

Mgr khilafat ki shan ka taqaza he ki ap unko mere mkan pr hi taleem de.

Imam Malik ne farmaya ki ae khalifa! hm ne ap hazraat se hi izzat payi he.

Fir ye kese munasib hoga ki hazrat wala ki hi hatho ilm beizzat ho.

Tb khalifa ne kaha to achha me shehzado ko madrse me dakhil kr dunga.

Mgr ap un shehzado ko dusre lrko ke sath na prhaye, blki alg taleem de.

Imam Malik ne khalifa ki ye darkhwast manzur na ki, unho ne farmaya me jis masjid nabwi me taleem de rha hu, us nabi ne sbko brabri ki taleem di he.

Or sikhaya he ki islami bradri me koi chota ya bada nhi he.

Khalifa or ek mamooli muslman brabr he, ae khalifa! brayi ilm se hoti he.

Jis ki taleem shehzade hasil krenge, fir me nabi ke hukm ke khilaf kese kr skta hu.

Khalifa Haroon Rashid ke pas ko jwab na tha, ap ne imam sahab ki khidmat me dono shehzado ko bhej diya, or vo taleem pane lge.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

Walaikum Asalam wa Rahmatullah 😀😀😀