Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Jahez maujuda zamane ki ek la'anat.
Is mamle me sb se zada zimmadari un logo pr aayed hoti he jo khate peete, ameer or daulat mand ghrane kehlate he.
Is azab se nijat us waqt tk nhi ho skti jb tk khate peete or ameer kehlane wale log is baat ka eqdam na kre ki hm apne khandan me shadiya or nikah sadgi ke sath nikah krenge.
Or in ghlat rasmo ko khatam krenge, is waqt tk tabdeeli nhi aayegi , is liye ki ek ghareeb aadmi to ye sochta he ki mujhe apni safed poshi brqrar rkhte huye, or apni nak unchi rkhne ke liye mujhe ye kam krna hi he.
Is ke bagher mera guzara nhi hoga, agr ladki ko jahez nhi denge to sasural wale taane diya krenge ki le kr aayi thi.
Aaj jahez ko shadi ka ek lazmi hissa samjh liya gya he.
Ghar gharsti ka saman mohayya krna jo shohar ke zimme wajib tha.
Vo aaj biwi ke baap ke zimme wajib he, goya ki vo bap apni beti or apne jigar ka tukra bhi shohar ko de de, or uske sath lakhon rupay bhi de, ghar ka furniture mohaiyya kre , or is tarah vo dusre ka ghar abad kre.
Shariyat me us ki koi asal maujud nhi theek he, agr koi baap apni beti ko koi cheez dena chahta he to vo sadgi ke sath dede.
Behar hal jo matmul or khate peete ghrane kehlate he.
In pr ye zimmadari zada aayed hoti he ki vo jb tk is sadgi ko nhi apnayenge or is ko tehreek ki shakl me nhi chalyenge is waqt tk is azab se nijat milni mushkil he.
Allah taala apni rehmat se baat hmare dilo me dal de.
Aameen.
Shukriya..
summa aameen
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit