Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Jhut se mukammal ijtenab.
Jhut na sirf gunah kabeera he blki bahut se gunahon ki bunyad he, or bahut sare gunahon ka zariya banta he.
Is liye is jhut se nafrat ko bacho ke dil me bitha diya jaye, unhe hamesha sach bolne ka aadi bnaya jaye, or vo jhut se mukammal parhez krne lge, to ye baat yaqeeni he ki vo bahut sare gunahon se khud ba khud bach jayenge.
Isiliye Rasool Allah S.A.W ka irshad he ke " jhut se bacho kyuki jhut badkari tk pahunchata he or badkari jahnnam me le jati he" or isi bina pr Rasool Allah S.A.W ne jhut ko iman ke mnafi qrar diya he.
Lehaza bachon ko mukammal muslman bnane ke liye zruri he ki un or jhut bolne ke silsle me mukammal pabndi aayeda ki jaye.
Kisi qeemat pr un ka jhut gawara na kya jaye, agr koi bacha ghalti krne ke bad sach bole to mauka mahal ke mutabik us ki tambeeh me takhfeef ki jaye ya muaaf kr diya jaye, lekin agr ghalti ke sath jhut bhi bole to uski sza me ko narmi na ki jaye.
Is silsile me ye bat bhi aham he ki un ke asatiza or walidain bhi is silsila me apni zimma dari ka pura ehsas rkhe.
Shukrya