Khandan

in hive-120412 •  4 years ago 

4c8f870c1708b2ea956ff9e8b8de6b22.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Khandan.

Khandan vo jagh he jaha ek frd apne qareebi azeezo ke sath mil jul kr zindagi guzarna sikhta he, jis ke natije me samaj bka or nosh o numa pata he.

Khandan ek esa idara he jaha mohabbat or raham jesi smaji qdre prwan charhti he.

Ek dusre ke sath zimmadari, sharakt or wabstagi or uss ke alawa jo kuch kaha or kiya jata he us ke bare me jwab dahi jesi qdre bhi is idare me furug pati he.

Insani zindagi ko mazeed khush gwar bnane ke liye mazbut khandano ki tadad me izafe ke alawa ko or zaria nhi ho skta, shadi khandani dhanche ke qayam ka qanuni tareeqa kar he.

Jb mukhtalif khandano se talluq rkhne wale ek mrd or ek aurat shadi ke bandhan me bandhte he to unke darmyan zruri sharayet ke sath zindagi guzarne ka muaheda hota he.

In shrayet ko mrd ya aurat ke nfa or nuksan ki haisiyat se nhi dekha jana chahiye, blki ye shrayet dono ki zehni hm aahngi, ek dusre ke jzbat or ehsas ka ehteram, khushi se mil kr ek mazbut, sehat mnd or mutawazun rishte ki bunyad dalte he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!