Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Khidmat e khalq.
Khidmat e khalq ka matalab ye he ki Allah ki sari makhluq se hmdrdi rkho, hr ek chote bade, achhe bure, kamzor or taqatwr ka drd or unki kher khwahi ka jzba tumhare dil me ho.
Hr ek insan blki hr ek jandar ki takleef se tumhare dil pr chot lge.
Uski takleef ko dur krne ke liye tum be chain hojao, or ye smjho ki jis khuda ne mujhe paida kya he, jiski be shumar mehrbaniya mere upr he, usi khuda ki ye makhluq he.
Jis khuda ne mujhe nemate di he, or hmare upr ye mehrbaniyan ki he.
Ese hi hmara frz he ki me uski makhkuq pr mehrbani kru, mehrbani ko arbi me raham kehte he.
Sari makhluq pr raham krna hr ek muslman ka kam he.
Rasool Allah S.A.W ne irshad farmaya:
Zameen walo pr raham kro, tum pr aasman wala raham krega.
Badbakht insan raham se khali hota.
Jo logo pr raham nhi krta, Allah taala uss pr raham nhi krta.
Isiliye hme hr jandar pr raham krna chahiye, chahe vo insan ho ya janwar sb pr raham kro.
Shukriya..
You've got a free upvote from witness fuli.
Peace & Love!
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit