Khuda ka ehsan mano.

in hive-120412 •  4 years ago 

image.png

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Insano ka ehsan mano to khuda ka bhi ehsan manoge.

Hazrat Mohammad S.A.W ne farmaya, or bilkul sahi farmaya, jo insano ka ehsan nhi manta vo khuda ka ehsan bhi nhi man skta.

Yhi bat he, insan ka ehsan aankho dekhi cheez hoti hr.

Maa baap ne jo kuch tumhare sath kya, rishtedar, dost o ehbab jo kuch kr rhe he vo tumhare samne he.

Tum unko bhi dekh rhe ho, unki dor dhoop or jaddo jehad bhi tumhare samne he, or unka ehsan aankho dekhi kano suni cheez he.

Khuda ke ehsanat o inamat khwah kitne hi zada he, mgr na khuda ko aaj tk dekha na usko inam ya ehsan ka hukm krte huye suna.

Uska inam ya ehsan pehchanne ke liye kuch smjh bujh ki zarurat he.

Agr aankho dekhe ehsan nhi man skte to khuda ke ehsanat kis trh man skte he jo aankho se nhi dekhe jate, blki aql se pehchane jate he.

Lehaza ehsan manne ki khaslat paida kro taki khuda ehsan man sko or uske shukr guzar bnde bn sko.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!