Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Khuda ki kitabe.
Vese ti khuda taala ki kitabe badi choti bahut sari he, jo paighmbro pr nazil huyi, mgr mashhoor or badi kitabe 4 char he.
Tauret, to Hazra Moosa A.S pr nazil huyi.
Zaboor, jo Hazrat Dawood A.S pr nazil huyi.
Injeel, jo Hazrat Isa A.S pr nazil huyi.
Quran majid jo hmare Hazrat Mohammad S.A.W pr nazil hua.
Or agr koi shakhs in kitabo me se kisi ek kitab ko bhi na mane vo kafir he.
Tauret, Zaboor, or Injeel me logo ne adl bdl kr diya tha, mtlb us me tabdeeli kr liya tha logo ne apne sahulat ke hisab se isiliye agr maujuda daur me koi in teeno kitabo me se la kr de to unki bato nhi mana jayega, haan agr jo bate quran shareef se milti he vhi bate mani jayengi.
Quran sharif me koi ek nukta bhi nhi bdl skta, Allah taala qayamat iske muhafiz rhenge, kyuki ye khuda ka kalam he.
Tauret, Zaboor, Injeel, or Quran me se sb se afzal kitab Qur'an sharif he.
Quran majid ka ek ek harf or ek ek lafz mehfuz he, is me nukta ki bhi kmi beshi nhi huyi, or na qayamat tk ho skegi.
Quran sharif hzaro lakho muslmano ke seeno me mehfuz he or ye seena b seena hmare Nabi S.A.W ke mubarak zmane se aaj tk brabr chli aati he, or insha Allah qayamat tk jari rhegi.
Isi hifzat ki wajah se Islam ke dushmano ko kisi wqt ye mauka na mila ki Quran me kmi beshi kr ske, ya use duniya se na ped krde, or na khuda chahe qayamat tk esa mauka milega.
Shukriya..