Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Khuda taala ke sath muslmano ke aqide.
Musalmano ko khuda ke sath ye aqide rkhne chahiye, khuda taala ek he.
Khuda taala hi ibadt or bndagi ke layk he, or uske siwa koi bndagi ke layk nhi, uska koi shareek nhi.
Vo hr bat ko janta he koi cheez us se poshida nhi.
Vo badi taqat or qudrat wala he, usi ne zameen, aasman, chand, suraj, sitare, farishte, aadmi, jin wagera tmam duniya ko paida kiya, or vhi tmam duniya ka malik he.
Vhi marta he vhi jilata he, yani makhluq ki zindagi or maut usi ke hukm se hoti he.
Vhi tmam makhulq ko rozi deta he, vo na khata he na peeta he, or na sota he.
Vo hmesha se he or hmesha rhega, usko kisi ne paida nhi kiya.
Na uska baap he, na beta, na beti, na biwi, na kisi se uska rishta nata nhi he, vo in tmam talluqat se pak he.
Sb uske mohtaj he, vo kisi ka mohtaj nhi, or usko kisi cheez ki hajat yani zrurt nhi he.
Vot tmam aibo se pak he, vo mkhluq jese hath, per , nak, kan, or shakl o surat se pak he.
Usne farishto ko paida krke duniya ke intezamo or khas khas kamo pr muqarar farma diya hd.
Usne apni makhluq ki hidayat ke liye paighmbr bheje ki logo ko sacha mazhab sikhaye, achhi bate btaye, or buri bato se bchaye.
Shukriya..