Kya kisi ne khuda ko dekha he ?

in hive-120412 •  4 years ago 

eb2a5a11e73845ba6fb31fdaa5e27249.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Kya kisi ne khuda ko dekha he?

Ap yhi soch rhe honge ki ye kese ho skta he, wajh to bilkul zahir he.

Kyuki aap usi cheez ko dekh skte ho jis me jismaniyat ( yani kuch lambayi , chaurayi , kuch motayi, kuch garha pan ho.

Apke andr apki jaan maujud he, mgr aap us ko dekh nhi skte.

Hawa aap ko lgti he, mgr nazar nhi aati, kyuki us me kasfat yani garha pan nhi he.

Allah taala jismnaiyt se bhi paak he, or garha pan se bhi bari he, vo lateef he.

Lehaza na nazar aata he, na hath us ko chhu skte he, or na vo hawa ki tarah ap ke badan se lg skta he.

Jese suraj apke samne hota he, mgr aap us pr nazar nhi jma skte, aapki nazar jese hi suraj ki taraf uth ti he, chaka chond ho jati he.

Ab agr suraj ki roshni do teen guni ho jaye, to phir suraj to suraj, aap dhoop pr bhi nazar nhi daal sakoge.

Agr khuda nazar nhi aata to ye us ka qusur nhi balki apki aankho ki kamzori he, or ye jo aap suna krte ho ki Allah taala ki zaat hazaro pardon me he.

To Allah taala pr koi parda pra hua nhi he, ye parda hmari kamzori or hmari aankho ki na ehliyat he.

Ab agr hmari kamzori ke parde uth jaye to beshak us ki zaat paak nazar aa skti he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!