Life Of Sultan Mohammad Shah.

in hive-120412 •  4 years ago 

image.png

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Mohammad Shah.

Mughal badshah jo kayi sal tk Hindustan pr hukumat krte rhe, un me ek badshah ka nam Mohammad Shah tha.

Ye bahut aram pasnd talab badshah tha, rat din aesh o aram me lga rehta tha, mulk ke intezam ki khabar bhi nhi leta tha, jis se mulk me ek trh ki abtri paida hogyi thi.

Iran ke badshah Nadir Shah ko jb ye hal maloom hua to uska mn lalchaya or usne Hindustan pr chrhayi krdi.

Mohammad Shah ki fauje hr ek chaoni pr harti rhi, yha tk ki Nadir Shah dandnata hua Delhi pahunch gya or Delhi pr qabza krliya.

Mgr unse Mohammad Shah ko badshahiyt se nhi utara or aaps me dosti ka muaheda hogya.

Lal Qila me is muahede ki khushiya mnayi gyi, ek bahut badi dawat huyi, dono badshaho or dono mulko ke wazeero pr afsaro ne milkr khaya.

Ittefaq se ek din rat ke wqt kisi shakhs ne ye jhuti khabar ura di ki Nadir Shah mara gya, Delhi walo ne is khabar ko sch smjh liya or Nadir Shah ki fauj ko lawaris smjh kr qatal krna shuru krdiya.

Nadir Shah ko jb ye hal maloom hua to khud mauka pr pahuncha.

Mgr use dekh kr bhi log baaz nhi aaye, Nadir Shah tabiyat ka bahut jallad tha, vo usko kese brdasht kr skta tha.

Usne qatal aam ka hukm de diya, fir kya tha Delhi ke gali kocho me khoon ki nadiya beh gyi.

Hazaro be gunah qatal huye, karoro daulat luti gyi, 3 din ke bad badi mushkil se qatal aam bnd hua, lekin loot maar fir bhi arsa tk jari rhi.

Ghaur kro to is brbadi ke do sabb he.

Jhut bolna, yani bina tehqeeq Nadir Shah ki maut ka charcha krna.

Urti khabar pr bina tehqeeq kr aml krlena.

Isiliye kbhi bhi beger tehqeeq kiye huye urti khabro pr yakeen nhi krna chahiye, isse bahut bada nuksan hojata he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!