Maghrib ki 4 rikat parhna gunah kyu he?

in hive-120412 •  4 years ago 

ca7fd886d1665e6f8befc3b5b8bea50b.jpg

Source
Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Maghrib ki 4 rikat parhna gunah kyu he?

Maghrib ki teen 3 rikat parhna farz he, ab ek shakhs kahe ki "maaz Allah" ye teen ka adad kuch be tuka sa he,
4 rikat puri kyu na prhe?

Ab vo shakhs teen 3 rikat ke bajaye 4 rikat prhta he.

Ab btaye , us ne gunah kiya? kya us ne sharab pee li? kya chori krli? ya daka dala, ya kisi gunah kabira ka irtekab kr liya?

Sirf itna hi to kya ki ek rikat zada prh li, jis me quran kareem zada prha.

Ek ruku zada kiya, or do sajde zada kiye, or Allah ka nam liya, ab is me us ne kya gunah kr liya?

Lekin hoga ye ki chothi rikat jo us ne zada prhi, na sirf ye ki zada ajar o sawab ka mojab nhi hogi.

Balki un pehli teen rikato ko bhi le dubegi, or un ko bhi kharab kr degi, kyu?

Is liye ki Allah taala or Allah ke Rasool ke btaye huye tareeqe ke mutabik nhi he.

Sunnat or bidat me yhi farq he ki jo tareeqa btaya hua he, vo sunnat he, or jo btaya hua tareeqa nhi he.

Balki apni taraf se ghara hua he, or dekhne me bahut achha maloom hota he.

Lekin us ka koi fayeda, koi ajar o sawab nhi.

Shukriya..

696e7926086a81a30a55bdca508b35a4.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!