Namazi Ghulam

in hive-120412 •  4 years ago 

30482f8b193e80a768d7ef66f35cefca.jpg
Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Nmazi ghulam.

Ek ameer ka ghulam tha, bada nmazi, bada deen dar.

Ek din bada tmasha hua, ameer ne ghulam ko hukm diya ki kl subah uth kr ek pyala bhr kr mitti or ek tehbnd lekr hmam me le aana me nhaunga.

Ghulam apne malik ke hukm ke mutabik subah subah uth or apne malik ke sath chl pra.

Raste me ek masjid se azan ki awaz aayi.

Ghulam ne kaha! malik ap masjid jate nhi he, zra ap is dukan pr thehr jaye, me nmaz ada krlu.

Ghulam masjid me gya, or malik khuda ki yad se ghafil vhi dukan me thehr kr ghulam ka intezar krne lga.

Bahut der hogyi, imam or sare nmazi masjid se chle gye, lekin ghulam sahb nhi nikle.

Intezar bahut der tk krne ke bad malik ne zor se pukara! ki are bahr kyu nhi aata.

Ghulam ne jwab diya ki mujhe nhi aane dete, zra rukye abhi aaya.

Thodi der baad ameer ne fir awaz di, jwab mila rukye aata hu.

Isi tarah ameer ne 7 bar pukara, or bahr yhi jwab mila ki rukye aata hu, mujhe chhor nhi rhe he.

Aakhir tang aakr malik ne kaha sb nmazi ja chuke, masjid khali hogyi.

Tujhe vha kon rok rha he?

Ghulam ne kaha jis ne aap ko masjid ke andr aane se roka, vhi mujh ko masjid bahr jane se rok diya he.

Ye jwab sun kr ameer bahut sharminda hua, or pyala or mitti fek kr forn masjid me gya.

or wuzu kya, or nmaz prhi, usi roz ghulam ko azad krdiya.

Or fir puri zindagi us ki nmaz kza nhi huyi.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!