Qurabni ki asal rooh.

in hive-120412 •  4 years ago 

b191bca7f15184cfaa789d91bd57e291.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Qurabni ki asal rooh.

Hr ibadat ka ek mauka or ek mahal hota he, jese koi shakhs ye soche ki me nmaz na prhu, or us ke bajaye ghareeb ki madt kr du.

To us se nmaz ka fareeza ada nhi ho skta, ghareeb ki madt krne ka ajar o sawab apni jagh he, lekin jo dusre farayez he, vo apni jagh farz o wajib he.

Or qurbani ke khilaf ye jo propeganda kya gya he ki vo aqal ke khilaf he, or ye maashi badhali ka sabab he, or maashi etebar se is ka koi jwaz nhi he, ye drhakikat qurbani ke sare falsfe or us ki rooh ki nafi he.

Qurbani to mashru hi is liye ki gyi he ki ye kam tumhari aqal or smjh me aa rha ho, ya na ho, phir bhi ye kam kro, is liye ki hm ne us ke krne ka hukm diya he, hm jo kahe, us pr aml kr ke dikhao.

Ye qurbani ki asal rooh he, jb tk insan ke andar ittebaa paida nhi ho jati us wqt tk insan insan nhi ban skta.

Jitni bad umwaniya, jitne mazalim, jitni tabah kariyan aaj insano ke andar pheli huyi he.

Vo drhakikat is bunyad ko faramosh krne ki wajh se he ki insan apni aqal ke piche chalta he Allah ke hukm ki itteba ki taraf nhi jata he.

Shukriya..

696e7926086a81a30a55bdca508b35a4.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!