Roze ki Niyat

in hive-120412 •  4 years ago 

811435d842146080bdefdec5e022c588.jpg

Source

Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

(Roze ki niyat)

Roze ke liye niyat krna shart he.

Agr ittfaki tor pr subah sadik se gurub aaftab tk khane peene or sohbat se bcha rha, lekin roze ki niyat nhi thi to roza nhi hoga.

Roze ki niyat is trh kre, ramazan shareef or nzr moyyan or sunnat or nafal rozo ki niyat me to chahe khas un rozo ka kasad kre ya sirf ye irada kr le ki roza rkhta hu ya nafal roze ki niyat kre.

Ramazan me ramzan ka roza or nzr moyyan ke din nzr ka roza or baki dino me sunnat ya nafal ka roza ho jayega or nzr ger moyyan or kaffaro or kza e ramazan ki niyat me khas un rozo ka kasad krna zruri he.

Niyat kasad or irada krne ko kehte he, dil se irada kr lena kafi he, zaban se keh le to behtr he na kehne me kuch muzayeka nhi.

Ramazan sharif or nzr moyyan or sunnat or nafal rozo ki niyat rat se kre ya subah ko aadhe din se pehle pehle tk jayez he.

Din se murad sharyi din he, jo subah sadik se gurub aaftab tk ka nam he.

Masln agr char 4 bje subah sadik ho or 6 bje aaftab gurub ho to sharyi din 14 ghnte ka hua or aadha din 11 bje hua to 11 bje se pehle pehle niyat kr leni zruri he.

Or kzaye ramzan or kaffare or nazr ger moyyan ki niyat subah sadik se pehle krleni zruri he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!