Taraweeh Ki Namaz.

in hive-120412 •  4 years ago 

ded9fcba11b51a93922389f0bf415d9e.jpg

Source

Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

Taraweeh.

Nmaz e taraweeh mrdo or aurato dono ke liye sunnat e moakkda he.

Or jamat se prhna sunnat e kifaya he, yani agr muhalle ki masjid me nmaz taraweeh jamat se prhi jaye or koi shakhs ghr me akela nmaz prh le to gunahgar na hoga.

Lekin agr tmam muhalle wale jamat se na prhe to sb gunahgar honge.

Nmaz e taraweeh ka wqt nmaz e isha ke bad se fjr tk he.

Nmaz witr se pehle bhi or us ke bad bhi taraweeh ka wqt he.

Lekin taraweeh ki nmaz witr se pehle prhni chahiye, haan agr kisi shakhs ki taraweeh ki kuch rakate reh gyi ho or imam witr prhne lge to ye shakhs imam ke sath witr me shareek hojaye or witr ke bad prhne lge to ye shakhs imam ke sath witr me shareek ho jaye or witr ke apni taraweeh ki chuti huyi rakate puri krle to jayez he.

Nmaz taraweeh ki bees 20 raakte he, do do ki niyat kre or hr char rikat ke bad taraweeh ke dua prhe.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

Walaikum assalam wa Rahmatullah, MashaAllah very nice post

Jazakallah khair 😊.