Allah taala ke raste me niklna.

in hive-152587 •  3 years ago 

images - 2021-06-18T012543.500.jpeg

Source

Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

Allah taala ke raste me niklna.

Hazrat Abu Huraira R.A farmate he ki ek safar ke dauran Rasool Allah S.A.W ke ek sahabi kisi pahari raste me meethe pani ke ek chote se chashme pr se guzre.

Vo chashma umda hone ki wajh se un ko bahut achha lga.

Unhone apne jee me kaha ki kesa achha chashma he, kya hi achha ho ki me logo se kinara kash ho kr is ghati me hi thehr jau.

Lekin me ye kam Nabi Kareem S.A.W se ijazat liye bagher hargiz nhi krunga.

Is khyal ka zikr unho ne Nabi Kareem S.A.W ke samne kya to aap S.A.W ne irshad farmaya:

Esa na krna kyuki tum me se kisi bhi shakhs ka Allag taala ke raste me thodi der khare rehna us ke apne ghar me reh kr 70 saal namaz prhne se behtr he.

Kya tum log nhi chahte ki Allah taala tumhari maghfirat farma de, or tumhe jannat me dakhil farma de.

Allah taala ke raste me jihad kro itni der bhi Allah taala ke raste me lara jitna waqfa ek untni ke dudh dohne me dobara than dbane ke drmyan hota he to us ke liye jannat wajib hogyi.

Shukriya..

696e7926086a81a30a55bdca508b35a4.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!