Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Allah taala ke sath khulus or wafadari ka matlab.
Hazrat Mohammad S.A.W ne farmaya ki beshak deen khulus or wafadari naam he.
Beshak deen khulus or wafadari ka nam he, isi tarah teen mrtaba farmaya.
Sahaba kram R.A ne araz kya: ya Rasool Allah!
Kis ke sath khulus or wafadari?
Irshad farmaya: Allah taala ke sath, Allah taala ke Rasool ke sath, Allah taala ki kitab ke sath muslmano ke hakimo ke sath or un ke awam ke sath.
Allah taala ke sath khulus or wafadari ka matlab ye he ki un pr iman laya jaye, un ke sath intehayi mohabbat ki jaye, un se dra jaye, un ki itaat o ibadat ki jaye, or un ke sath kisi ko shareek na kya jaye.
Allah taala ki kitab ke sath wafadari ka matlab ye he ki us pr iman laya jaye us ki azmat ka haq ada kya jaye, us ka ilm hasil kya jaye, us ka ilm phailaya jaye, or us pr amal kya jaye.
Rasool Allah S.A.W ke sath khulus or wafadari ka matlab ye he ki un ki tasdeeq ki jaye, un ka ehteram kya jaye, un se or un ki sunnato se mohabbat ki jaye, or dil o jaan se un ki ittebaa me apni nijat smjhi jaye.
Muslmano ke hakimo ke sath khulus or wafadari ka matlab ye he ki un ki zimmadariyo ki adayegi me un ki madd ki jaye, un ke sath achha guman rkha jaye, agr un se koi ghlti hoti nazar aaye to behtr tareeqe pr us ki islaah ki koshish ki jaye, un ko achhe mashware diye jayen, or jayez kamo me un ki baat mani jaye.
Aam muslmano ke sath khulus or wafadari ka matlab ye he ki un ki hamdrdi o khair khwahi ka pura pura khyal rkha jaye, jis me un ko deen ki taraf krna bhi shamil he, un ka nafa apna nafa or un ka nuksan apna nuksan smjha jaye, jitna mumkin ho un ki madd ki jaye, un ke hukuk ko ada kya jaye.
Shukriya.