Allah taala se us ka fazal mango.

in hive-152587 •  3 years ago 

cabafb5a08b3b33d2565de433728cc1c.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Allah taala se us ka fazal mango.

Hazrat Abdullah R.A se rawayat he ki Rasool Allah S.A.W ne irshad farmaya:

Allah taala se us ka fazal mango kyuki Allah taala ko ye baat pasnd he ki un se manga jaye, or kushadgi ki dua ke baad kushadgi ka intezar krna afzal inadat he.

Kushadgi ke intezar ka matalab ye he ki is baat ki ummeed rkhi jaye ki jis rehmat, hidayat, bhalayi ke dua mangi ja rhi he, vo Insha Allah zrur hasil hogi.

Rasool Allah S.A.W ne irshad farmaya: Dua ke siwa koi cheez taqdeer ke faisla ko taal nhi skti, or neki ke siwa koi cheez umr ko nhi brha skti.

Or aadmi bsa auqat kisi gunah ke krne ki wajh se rozi se mehroom kr diya jata he.

Hadees sharif ka matalab ye he ki Allah taala ke yha ye tai hota he ki ye shakhs Allah taala se dua mange ga, or jo mange ga vo use mile ga.

Hadees sharif me aata he Dua krna bhi Allah taala ke yha muqaddar hota he.

Isi tarah Allah taala ke yha ye faisla hota he is shakhs ki umr masln 60 saal he.

Lekin ye shakhs fulan neki masln hajj krega is liye us ki umr 20 saal barha di jaye gi, or 80 saal duniya me zinda rhega.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!