Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Bachon me jhut bolne ki aadat.
Hadees sharif me he ki ek martba huzur S.A.W ki khidmat me ek esa shakhs aaya, jo mutaadd buri baton ka shikar tha.
Vo jhut bolta tha, chori krta tha, sharab peeta tha, juwa khelta tha or isi tarah dusri bahut si buri baton ki aadate thi.
Us ne huzur S.A.W se guzarish Ya Rasool Allah! koi esi tadbeer btaye ki in buri bato ki aadat chut jaye.
Huzur S.A.W ne farmaya tum sach bola kro.
Us aadmi ne socha ki Huzur S.A.W ne na to chori krne ko mna farmaya or na juwa khelne se roka.
Un me se kisi bat se mna krte to mere liye mushkil khari ho jati lekin ek hi bat se roka ki jhut mt bolo.
Us me to koi takleef ki baat nhi esi mamooli bat pr aml krna mere liye bahut asan he.
Lehaza vo shakhs bahut khush ho gya or pure wusuq or jush ke sath waada kya ki ya Rasool Allah me kbhi bhi apni zabaan ko jhut ki gandgi se aaluda na hone dunga, or hmesha sch bolunga.
Waada krne ko to kr gya lekin jb mazkura bala buri baton ka waqt aaya to uljhan paida huyi.
Chori krne ka irada hua to sath ye bhi sochne lga ki agr me ne chori ki to sch bolne ka waada dene ki wajh se mujhe apne gunah ka iqrar krna prega, or us ki saza bhi bhugtni pregi.
Shrab peene ke irade ke sath ye bhi khyal aaya ki me kis zabaan se huzur S.A.W ki khidmat me shrab peene ka iqrar krunga.
Mtlb ye ki is ki wajh se chori or shrab se dur rha phir ahista ahista sirf sch bolne ki barkat se us ki tmam buraiya chut gyi or vo ek nek aadmi bn gya.
Shukriya..
@tipu curate
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit