Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Bimari ki halat me jama'at ke sath namaz prhna.
Hazrat Aaisha R.A farmati he ki jb Nabi Kareem S.A.W bimar huye or Aap S.A.W ki takleef brh gyi to Aap S.A.W ne dusri biwiyon se is baat ki ijazat li ki Aap S.A.W ki timadari mere ghar me ki jaye.
Unho ne Aap S.A.W ko is baat ki ijazat de di.
Phir jb namaz ka waqt hua to Rasool Allah S.A.W do aadmiyon ka sahara le kr masjid jane ke liye is tarah nikle ki kamzori ki wajh se Aap S.A.W ke paon zameen pr ghaseet rhe the.
Hazrat Usman bin Affan R.A farmate he ki me ne Rasool Allah S.A.W ko ye irshad farmate huye suna:
Jo shakhs isha ki namaz jama'at ke sath prhe.
Goya us ne aadhi raat ibadat ki or jo fajar ki namaz bhi jama'at ke sath prh le goya us ne puri raat ibadat ki.
Shukriya..
Your post is very good and your photography is amazing and you work very hard .
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit