Doctor ke liye house job lazim kyu?

in hive-152587 •  4 years ago 

images - 2021-06-30T012318.067.jpeg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Doctor ke liye house job lazim kyu?

Insan agr ye soche ki medical science pr kitabe likhi huyi he, me un ko prh kr dusron ka ilaj shuru krdu.

Vo pehna bhi janta he, samjhdaar bhi he, zaheen bhi he or us ne kitabe prh kr ilaj shuru kr diya, to vo siwaye qabristan aabad krne ke koi or khidmat anjam nhi dega.

Duniya bhr ka qanoon ye he ki agr kisi shakhs ne MBBS ki degree hasil krli.

Us ko is waqt tk aam practice krne ki ijazat nhi, jb tk vo ek muddat tk house job na kre.

Or jb tk kisi hospital me kisi mahir doctor ki nigrani me amli nmuna nhi dekhega, us waqt tk doctori nhi kr skta.

Is liye ki us ne ab tk bahut si cheezon ko sirf kitabo me pdha he, abhi us ke amli namune us ke samne nhi aaye.

Ab marz kitabi tafseel ke sath us ke amli surat mareez ki shakal me dekh kr use sahi mayene me ilaj krna aaye ga.

Us ke baad aam practice ki ijazat de di jayegi.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!