Ek dusre se mil jul kr rhe

in hive-152587 •  3 years ago 

images - 2021-06-19T005848.279.jpeg

Source

Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

Hazrat Abu Huraira R.A rawayt krte he ki Rasool Allah S.A.W ne irshad farmaya:

Ek dusre se hasad na kro, kharid o farokht me kharidari ki niyat ke bagher mehaz dhoka dene ke liye boli me izafa na kro.

Ek dusre se bughz na rkho, ek dusre se berukhi ikhteyar mt kro, or tum me se koi dusre ke saude pr sauda na kre.

Allah taala ke bande bn kr bhai bhai ho jao.

Muslman muslman ka bhai he, na us pr zadati krta he, or agr koi dusra us pr zadati kre, to us ko beyaro maddgar nhi chorta or na haqeer smjhta he.

Is mauke pr Rasool Allah S.A.W ne apne seene mubarak ki taraf ishara kr ke teen martba irshad farmaya: taqwa yha hota he.

Insan ke bura hone ke liye itna kafi he ki vo apne muslman bhai ko haqeer smjhe.

Muslman ka khoon, us ka maal us ki izzat o aabru dusre muslman ke liye haram he.

Rasool Allah S.A.W ke is irshad " taqwa yha hota he" ka matalab ye he ki jo Allah taala ke khauf or aakhirat ke hisab ki fikr ka nam he.

Vo dil ke andr ki ek kaifiyat , esi cheez nhi he jise koi dusra aadmi aankho se dekh kr maloom kr ske ki us aadmi ke taqwa he ya nhi he.

Is liye kisi muslman ko haq nhi ki vo dusre muslman ko haqeer smjhe.

Kya khabar jis ko zahiri maloomat se haqeer smjha ja rha he, us ke dil me taqwa ho or vo Allah taala ke nazdeek badi izzat wala ho.

Shukriya..

696e7926086a81a30a55bdca508b35a4.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!