Hazrat Abd Ur Rahman bin auf ka nikah.

in hive-152587 •  3 years ago 

a7fbee3a40356320fe36aa316d83b1e3.jpg

Source

Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

Hazrat Abd Ur Rahman bin auf ka nikah.

Hazrat Abdur Rahman bin auf R.A jaleel ul qadr sahabi he, un das khush naseeb sahaba me se he, jin ko Huzur Aqdas S.A.W ne duniya hi me khush khabri suna di thi ki ye jannat me jayenge.

Ek martaba jb Huzur Aqdas S.A.W ki majlis me hazir huye to Huzur S.A.W ne dekha ki un ki qamees ke upr zard nishan or rang lga hua he.

Aap S.A.W ne un se puchha ki tumhari qamees pr ye zard nishan kesa lga hua he?

Unho ne jawab me arz kya ki ya Rasool Allah! me ne ek khatoon se nikah kr liya he.

Or nikah ke waqt ek khushbu lgayi thi, or ye khushbu ka nishan he.

Huzur S.A.W ne farmaya ki Allah taala is me barkat ata farmaye waleema krlo, chahe vo ek bakri se kyu na ho.

Is hadees se ghor krne ki baat ye he ki ye Hazrat Abdur Rahman bin auf Huzur S.A.W ke intehayi qareebi sahabi he, lekin nikah ki taqreeb me sirf ye nhi ki Aap S.A.W ko bulaya nhi, balki zikr tk nhi kya.

Or phir jb khud Huzur S.A.W ne rang ke bare me puchha to us ke jawab ke zimn me nikah ki ittelaa di.

Or nikah ki khabar sun kr Huzur S.A.W ne ye shikayat nhi ki ke tum akele nikah kr ke beth gye.

Hme bulaya tk nhi, is liye ki shariyat ne nikah ki taqreeb pr sire se koi shart or qaid aayed nhi ki.

Shukriya..

696e7926086a81a30a55bdca508b35a4.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

god bless🙏🌈🌼

MashAllah
Getting married is the best Sunnah of the Holy Prophet.