Hazrat Ibrahim A.S ne aqali hikmat talash nhi ki.

in hive-152587 •  4 years ago 

images - 2021-07-08T001746.420.jpeg

Source

Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

Hazrat Ibrahim A.S ne aqali hikmat talash nhi ki.

Aaj hamare muashre me jo gumrahi phaili huyi he vo ye he ki Allah taala ke hr hukm me hikmat talash kro ki, us ki hikmat or maslihat kya he? or us ka aqali fayeda kya he?

Iska matlab ye he ki agr aqali fayeda nazar aayega to krenge or agr fayeda nhi nazar aayega to nhi krenge, ye koi deen he? kya iska nam ittebaa he?

Itteba to vo he jo Hazrat Ibrahim A.S ne kr ke dikhaya or un ke bete Hazrat Ismaeel A.S ne kr ke dikhaya.

Or Allah taala ko inka ye amal itna pasnd aaya ki qayamat tk ke liye us ko jari kr diya.

Surah safat ki aayat number:108 me he.

Hm ne aane wale muslmano ko us amal ki naqal utarne ka pabnd kr diya.

Ye jo hm qurbani krne ja rhe he, ye Hazrat Ibrahim A.S or Hazrat Ismaeel A.S ki us azeemu shan qurbani ki naqal utarni he.

Or naqal utarne ki asal haqiqat ye he ki jese Allah ke hukm aage unho ne sr tasleem kham kiya, unho ne koi aqali daleel nhi mangi.

Or koi hikmat or maslihat talab nhi ki, or Allah taala ke hukm ke aage sr jhuka diya.

Ab hme bhi apni zindagi ko us ke mtabik dhalna he or qurbani ki ibadat se yhi sabak dena manzur he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!