Huzur Aqdas S.A.W ki sunnat dekhye.
Ek martaba Huzur Aqdas S.A.W hazrat Aaisha R.A se farmaya ki jb tum mujh se razi hoti ho, or jb tum mujh se naraz hoti ho, dono halaton me mujhe ilm ho jata he.
Hazrat Aaisha R.A ne puchha ki ya Rasool Allah S.A.W!
Kis tarah ilm ho jata he?
Aap S.A.W ne farmaya ki jb tum mujh se razi hoti ho to Mohammad ke Rab ki qasam ke alfaz se qasam khati ho.
Or jb tum mujh se naraz hoti ho to Ibrahim ke Rab ki qasam ke alfaaz se qasam khati ho.
Us waqt tum mera nam nhi leti, balki Hazrat Ibrahim A.S ka nam leti ho.
Hazrat Aaisha R.A ne farmaya: ki Ya Rasool Allah! sirf me aap ka nam chorti hu.
Nam ke alawa or kuch nhi chorti hu.
Ab aap andaza lgaye ki kon naraz ho rha he? Hazrat Aasiha R.A kis se naraz ho rhi he?
Huzur S.A.W se, jis ka matalab ye he ki Hazrat Aaisha R.A se baaz auqat esi baat farma deti thi jis se maloom ho jata tha ki un ke dil me kadurat or narazgi he.
Lekin us ko Huzur S.A.W ne apni qawamiyat ke khilaf nhi smjha.
Balki Huzur S.A.W ne badi khush tabyi ke sath us ka zikr farmaya ki tumhari narazgi ka mujhe pta chal jata he.
Shukriya..