Huzur Aqdas S.A.W ki taaleem ka andaaz.

in hive-152587 •  4 years ago 

images - 2021-06-29T010805.481.jpeg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Huzur Aqdas S.A.W ki taaleem ka andaaz.

Huzur S.A.W ki taleem ki bat dekhye ki Hazrat Mohammad S.A.W ke zmane me logo se zkat wasul krne ke liye aamil jaya karte the.

Jo logo se zakat wasul krte the, or is zmane me zada tr maal maweshiyo yani unat , bakriyan gaye wagera, ki shakal me hota tha.

Huzur S.A.W jb amilon ko bhejte to un ko ek hidayat nama ata farmate ki tumhe vha ja kr kya tareeqa ekhteyar krna he?

Is hidayat name me ye bhi tehreer farmate tum khud logo ke gharo pr ja kr zakat wasul krna.

Esa mt krna ki tum ek jagh pr beth jao, or logo ko is bat ki takleef do ki vo zakat ka maal tumhare pas la kr de, or ye bhi hidayat farmate ki:

Jo shakhs zakat wasul krne me zadati kr rha he, jese jitni zakat wajib thi, mikdar me us se zada wasul kr rha he, ya kaifiyat me zada wasul kr rha he.

Us ke bare me farmaya ki esa shakhs bhi itna hi gunahgar he, jitna zakat na dene wala gunahgar he.

Lehaza ek taraf aamilon ko to ye takeed ki ja rhi he ki tum logo ko takleef na pahunchao.

Or jitni zakat wajib hoti he, us se ek zrra bhi zada wasul na kro, agr esa kroge to qayamat ke din tumhari pakar hogi.

Dusri taraf jin logo ke pas zakat wasul krne ke liye in aamilon ko bheja ja rha tha.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

If we live by the teachings of the Holy Prophet, we can succeed in this world and the hereafter