Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Huzur S.A.W se nikah.
Hazrat umme Habiba R.A khud apna waqiya sunati he ki ek din me isi be bsi ke aalam me ghr me bethi thi, itne me darwaze pr dastak huyi.
Darwaza khola to dekha ki bahr ek kaneez khari huyi he.
Hazrat umme Habiba R.A ne us se puchha ki: kaha se aayi ho?
Us kaneez ne jawab diya ki: mujhe habsha ke badshah najashi ne bheja he.
Unho ne phir puchha ki: kyu bheja he?
Us ne jawab diya ki mujhe is liye bheja he ki Aap ko Hazrat Mohammad S.A.W ne nikah ka paigham bheja he.
Or najashi badshah ki maarifat bheja he, Hazrat umme Habiba R.A farmati he ki jis waqt ye alfaaz mere kan me pare.
Us waqt mujhe is qadr khushi or hairat huyi ki mere pas us waqt jo kuch bhi tha.
Vo me nr utha kr kaneez ko de diya or kaha ki tu mere liye itni achhi khabar layi he, is liye ye tera inaam he.
Us ke baad usi halat me un dono ke drmyan nikah hua ki Hazrat umme Habiba R.A habsha hi me thi.
Or Hazrat Mohammad S.A.W Madina me the, or phir kuch arsa ke baad Hazrat Mohammad S.A.W ne un ko Madina bulwane ka intezam farmaya.
Shukriya..