Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Iman ka zikr.
Hazrat Anas R.A ki me ne Nabi Kareem S.A.W ko ye irshad farmate huye suna ki jb qayamat ka din hoga to mujhe shafaat ki ijazat di jayegi.
Me arz krunga: ae mere Rab ! jannat me hr us shakhs ko dakhil farma dijiye jis ke dil me raye ke dane ke brabr bhi iman ho.
Allah taala meri us shafaat ko qubool farma lenge.
Or vo log jannat me dakhil ho jayenge.
Fir me arz krunga jannat me hr us shakhs ko dakhil farma dijiye jis ke dil me zara sa bhi iman ho.
Hazrat Mohammad S.A.W ne farmaya: iman ki halawat usi ko naseeb hogi jis me teen bate payi jayengi.
Ek ye ki Allah taala or un ke Rasool ki mohabbat us ke dil me sb se zada ho.
Dusre ye ki jis shakhs se bhi mohabbat ho sirf Allah taala hi ke liye ho.
Teesre ye ki iman ke bad kufr ki taraf paltne se us ko itni nafrat or esi aziyat ho jesi ki aag me dale jane se hoti he.
Shukriya..