Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Insan ke bura hone ke liye itna kafi he.
Hazrat Anas bin Malik R.A Rasool Allah ka irshad naqal farmate he ki insan ke bura hone ke liye itna kafi he ki deen ya duniya ke bare me us ki taraf ungliyon se ishara kiya jaye mgr ye ki kisi ko Allah taala hi mehfuz rkhe.
Ungliyon se ishara ka matalab mashoor hona he.
Hadees me murad ye he ki deen ke maamla me shohrat ka hona duniya ke bare me mashoor hone se zada khatarnak he.
Kyuki shohrat hasil hone ke baad apni barayi ke ehsas se bachna hr ek ke bs ka kam nhi.
Agr kisi ki shohrat ghair ekhteyari tor pr Allah taala ki taraf se ho, or Allah taala use mehaz apne fazal se nafas or shaitan se mehfuz rkhe, to ese mukhliseen ke haq me shohrat khatarnak nhi he.
Shukriya..